ay sabz gumbad walay naat lyrics

Ay sabz gumbad walay naat is of Amjad Sabri and the lyrics of it is below

Aye sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Aye sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Aye Noor e Khuda aakar ankhoon mein sama jana
Ya dar pe bula lena ya khawab main aa jana
Aye Noor e Khuda aakar ankhoon mein sama jana
Ya dar pe bula lena ya khawab main aa jana

Aye parda nasheen dil ke parde mein raha kerna
Jab waqt e nazah aye deedar aata karna
Aye sabz gumbad walay manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Main qabr andheri mein ghabraoon ga jab tanha
Imdaad meri karnay aajana meray aaqa
Main qabr andheri mein ghabraoon ga jab tanha
Imdaad meri karnay aajana meray aaqa

Roshan meri turbath ko aie noor e Khuda kerna
Jab waqt e nazah aaye deedar ataa karna

Mujrim hoon jahaan bhar ka mehshar mein bharam rakhna
Rusva e zamana houn daman mein chupa lena
Mujrim hoon jahaan bhar ka mehshar mein bharam rakhna
Rusva e zamana houn daman mein chupa lena

Maqbool yeh aarz meri lillah zara kerna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Chehre se ziya payee in chand sitaaron nay
Us dar say shifa paaye dukh dard kay maaron ne
Chehre se ziya payee in chand sitaaron nay
Us dar say shifa paaye dukh dard kay maaron ne

Aataa hai unhein sabir har dukh ki dawa karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Aye sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

Mehboob Ilaahi sa koyi na haseen dekha
Ye shaan hi inki ke saaya bhi nahin dekha
Mehboob Ilaahi sa koyi na haseen dekha
Ye shaan hi inki ke saaya bhi nahin dekha

Allah nay saaye ko chaha na judah karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna
Aye sabz gumbad wale manzoor dua karna
Jab waqt e nazah aye deedar ataa karna

No comments:

Post a Comment